Hindi Testimonials
A Hindi Testimonial Jaisa Chaho waisa nahin Hota
Kyun kahte ho mere saath kuch bhi behtar nahin hota,
sach ye hai ki jaisa chaho waisa nahin hota.
Koi sah leta hai koi kah leta hai,
gam kabhi zindagi se badkar nahin hota
.Aaj apno ne hi sikha diya hamein,
yahan har thokar dene wala pathar nahin hota.
Kyun zindagi ki mushkilon se haare baithe ho,
iske bina koi manzil koi safar nahin hota.
Koi tere saath nahin hai to bhi gam na kar,
khud se bad kar koi duniya mein humsafar nahin hota